vahi zamin vahi duur asmanon ke
dinon ki baat nahin khel hain zamanon ke
diya-sala.i ki tiili bhi ab Darati hai
nazare yaad hain jalte hue makanon ke
hamare paanv ki zanjir bante jaate hain
saje-saja.e hue silsile dukanon ke
zamin baal barabar nahin hamare naam
banate rahte hain naqshe na.e makanon ke
udaas kar gaya vo ‘as.ad’-e-javana-marg
ki is aziiz men kuchh taur the divanon ke
Leave a Reply