zaruraton ka tamasha nahin bana.unga
main apne haath ko kaasa nahin bana.unga
main nange pair phirunga jahan bhar men magar
kisi ki khaal se juuta nahin bana.unga
riyaz karte hue thak na jaa.e ye bachcha
main gintiyon se pahaḌa nahin bana.unga
agar main rah-e-siyasat men paanv rakkhunga
use kamane ka dhanda nahin bana.unga
mile na mujh ko baja daam meri mehnat ka
main saaḌi ke liye goTa nahin bana.unga
ga.e hain jab se yahan jail men ka.i baaba
maḌhi bana.unga Dera nahin bana.unga
phir is ke ba.ad na Dubegi chandni meri
main bathtub kabhi gahra nahin bana.unga
nahin hai abr yahan e’tibar ke qabil
main is makan ko kachcha nahin bana.unga
karunga pyaar main us ḳhush-jamal paikar ko
par apni ankhon men ḳhaka nahin bana.unga
tumhare gham ko piroya karunga ghazlon men
main apni aankh men dariya nahin bana.unga
Leave a Reply