khushbu ki tarah milta hai vaada nahin karta
mausam ka parinda hai thikana nahin karta
vo ishq men shoalon ka talabgar hai lekin
is aag men mar jaane ka sauda nahin karta
vo pichhli mohabbat men mire dil ka khasara
asbab-e-darun vo kabhi puchha nahin karta
karta hai har ik rang ki chidiyon se vo baten
pahnai men dil ki kabhi utra nahin karta
is shahr men jiine ki ada siikh rahi huun
biite hue kal par ye guzara nahin karta
Leave a Reply