Zarra Jo Koi Mehr Ke Misdaq Ho Gaya

zarra jo koī mehr ke misdāq ho gayā

sab shahr us kī dhuup kā mushtāq ho gayā

qasr-e-ḳhayāl ḳhvāb-e-makāñ āstān-e-dil

rakkhī jahāñ bhī sham.a vahī taaq ho gayā

in ḳhvāhishoñ ke naag ne kyā Das liyā mujhe

mohlik thā jo vo zahr bhī tiryāq ho gayā

vābasta ho ga.e haiñ ab us kī adā se ham

ham par bhī us ke hukm kā itlāq ho gayā

‘rāhat’ pas-e-murād adab guftugū rahī

phir yuuñ huā ki vo bhī bad-aḳhlāq ho gayā

Leave a Comment