zard mausam ki havaon men khada huun main bhi
aur is soch men gum huun ki hara huun main bhi
sun ke har shakhs kuchh is tarah guzar jaata hai
jaise girte hue patton ki sada huun main bhi
meri avaz-e-shikasta ki sataish na karo
apni avaz ki lahron men chhupa huun main bhi
tujh ko takhliq kiya main ne ki mujh ko tu ne
kaun khaliq hai yahi soch raha huun main bhi
vo jo tufan-e-khudi le ke bada hai ‘abid’
us ko malum nahin koh-e-ana huun main bhi
Leave a Reply