farishte padhte hain jis ko vo naam hai tera
badi janab tiri faiz aam hai tera
sitare ishq ke teri kashish se hain qaaem
nizam-e-mehr ki surat nizam hai tera
tiri lahad ki ziyarat hai zindagi dil ki
masih o khizr se uncha maqam hai tera
nihan hai teri mohabbat men rang-e-mahbubi
badi hai shaan bada ehtiram hai tera
agar siyah dilam dagh-e-lala-zar-e-tavam
digar kushada jabinam gul-e-bahar-e-tavam
chaman ko chhod ke nikla huun misl-e-nikhat-e-gul
hua hai sabr ka manzur imtihan mujh ko
chali hai le ke vatan ke nigar-khane se
sharab-e-ilm ki lazzat kashan kashan mujh ko
nazar hai abr-e-karam par darakht-e-sahra huun
kiya khuda ne na mohtaj-e-baghban mujh ko
falak-nashin sifat-e-mehr huun zamane men
tiri dua se ata ho vo nardban mujh ko
maqam ham-safaron se ho is qadar aage
ki samjhe manzil-e-maqsud karvan mujh ko
miri zaban-e-qalam se kisi ka dil na dukhe
kisi se shikva na ho zer-e-asman mujh ko
dilon ko chaak kare misl-e-shana jis ka asar
tiri janab se aisi mile fughan mujh ko
banaya tha jise chun chun ke khaar o khas main ne
chaman men phir nazar aae vo ashiyan mujh ko
phir aa rakhun qadam-e-madar-o-pidar pe jabin
kiya jinhon ne mohabbat ka raz-dan mujh ko
vo sham-e-bargah-e-khandan-e-murtazvi
rahega misl-e-haram jis ka astan mujh ko
nafas se jis ke khili meri aarzu ki kali
banaya jis ki muravvat ne nukta-dan mujh ko
dua ye kar ki khudavand-e-asman-o-zamin
kare phir us ki ziyarat se shadman mujh ko
vo mera yusuf-e-sani vo sham-e-mahfil-e-ishq
hui hai jis ki ukhuvvat qarar-e-jan mujh ko
jala ke jis ki mohabbat ne daftar-e-man-o-tu
hava-e-aish men paala kiya javan mujh ko
riyaz-e-dahr men manind-e-gul rahe khandan
ki hai aziz-tar az-jan vo jan-e-jan mujh ko
shagufta ho ke kali dil ki phuul ho jaae
ye iltija-e-musafir qubul ho jaae
Leave a Reply