zara sunta nahin kahna kisi ka
dil-e-nadan ko hai sauda kisi ka
hasinon ko jahan men kaun puchhe
zamana ho gaya shaida kisi ka
haram men but-kada men ham ko vaaiz
nazar aata hai ik jalva kisi ka
khuda shahid nahin taqsir meri
hua dil khud-ba-khud banda kisi ka
suna hai- aj-kal dair-o-haram men
hua karta hai phir charcha kisi ka
tasavvur men sada rahta hai ‘aughat’
qad-e-bala rukh-e-zeba kisi ka
Leave a Reply