• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tere Pyar Mein Ruswa Ho Kar Jaen Kahan diwane Log

Tere Pyar Mein Ruswa Ho Kar Jaen Kahan diwane Log

obaidullah-aleem

tere pyaar men rusva ho kar jaaen kahan divane log

jaane kya kya puchh rahe hain ye jane-pahchane log

har lamha ehsas ki sahba ruuh men dhalti jaati hai

ziist ka nashsha kuchh kam ho to ho aaen mai-khane log

jaise tumhen ham ne chaha hai kaun bhala yuun chahega

maana aur bahut aenge tum se pyaar jatane log

yuun galiyon bazaron men avara phirte rahte hain

jaise is duniya men sabhi aae hon umar ganvane log

aage pichhe daaen baaen saae se lahrate hain

duniya bhi to dasht-e-bala hai ham hi nahin divane log

kaise dukhon ke mausam aae kaisi aag lagi yaaro

ab sahraon se laate hain phulon ke nazrane log

kal matam be-qimat hoga aaj un ki tauqir karo

dekho khun-e-jigar se kya kya likhte hain afsane log

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jala Bala Hun Giraftar-E-Haal Apna Hun

Tere KHayal Se Dilchaspiyan Banate Hain

poet

Tuk to KHamosh Rakho Munh Mein Zaban Sunte Ho

poet

Tere Bimar Ki Shayad Wida-E-Jaan Hai Tan Se

ahmad-husain-mail

Allah Mataa-E-Zindagani Mil Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet