zara si baat ho kya kya saval karta hai
mira hunar mujhe aksar niDhal karta hai
vo chaaT leta hai dimak ki tarah mustaqbil
tumhen pata nahin maazi jo haal karta hai
mire vajud ko sadiyon ka silsila de kar
vo kaun hai jo mujhe la-zaval karta hai
baḌe qarib se ho kar guzar ga.i duniya
mila na us se mira dil kamal karta hai
main chahta huun marasim bas ek samt chalen
magar vo ḳhud hi junub-o-shumal karta hai
dua ka dar to sabhi ke liye khula hai magar
jise yaqin ho is par saval karta hai
Leave a Reply