• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zanjir Se uThti Hai Sada Sahmi Hui Si

Zanjir Se uThti Hai Sada Sahmi Hui Si

zanjir se uThti hai sada sahmi hui si

jaari hai abhi gardish-e-pa sahmi hui si

dil TuuT to jaata hai pe girya nahin karta

kya Dar hai ki rahti hai vafa sahmi hui si

uTh jaa.e nazar bhuul ke gar janib-e-aflak

honTon se nikalti hai dua sahmi hui si

haan hans lo rafiqo kabhi dekhi nahin tum ne

namnak nigahon men haya sahmi hui si

taqsir koi ho to saza umr ka rona

miT jaa.en vafa men to jaza sahmi hui si

haan ham ne bhi paaya hai sila apne hunar ka

lafzon ke lifafon men baqa sahmi hui si

har luqme pe khaTka hai kahin ye bhi na chhin jaa.e

mede men utarti hai ghiza sahmi hui si

uThti to hai sau baar pe mujh tak nahin aati

is shahr men chalti hai hava sahmi hui si

hai ‘arsh’ vahan aaj muhit ek ḳhamoshi

jis raah se guzri thi qaza sahmi hui si

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sehn-E-Chaman Mein Jaana Mera Aur Faza Mein Bikhar Jaana

abrar-ahmad

Aage Badhne Wale

Le Ke Yaadon Ke Aaj Nazrane

Dekhte Hi Dekhte Khone Se Pahle Dekhte

bahadur-shah-zafar

dekho Insan Khak Ka Putla Bana Kya Chiz Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet