ashk yuun bahte hain savan ki jhaḌi ho jaise
ya kahin pahle-pahal aankh laḌi ho jaise
kitni yadon ne sataya hai miri yaad ke saath
gham-e-dauran gham-e-janan ki kaḌi ho jaise
bu-e-kakul ki tarah phail gaya shab ka sukut
teri aamad bhi qayamat ki ghaḌi ho jaise
yuun nazar aate hain iḳhlas men Duube hue dost
dushmanon par koi uftad paḌi ho jaise
jalva-e-dar idhar jannat-e-didar udhar
zindagi aaj dorahe pe khaḌi ho jaise
yuun ḳhayal aate hi har saans men mahsus hua
gham-e-mahbub tiri umr baḌi ho jaise
Leave a Reply