kya hain shaida-e-qadd-e-yar darakht
hain jo shabnam se ashk-bar darakht
dekhen gar sarv-qad-e-yar darakht
khaak par loten saya-dar darakht
ashk-bar un pe hain jo murgh-e-chaman
pahne hain motiyon ka haar darakht
sar-kashi ki hai kya tire qad se
kaate jaate hain be-shumar darakht
kya tire qad se duun misal use
ki hai angusht zinhar darakht
tire jalve se nakhl-e-tur bane
hain jo bala-e-kohsar darakht
bed-e-majnun ko dekh o laila
hai ye majnun ka yadgar darakht
dekh kar tujh ko bhuul jaenge
gul khilaenge be-bahar darakht
zindagi men na main ne phal paaya
ho na mere sar-e-mazar darakht
faeda bhi yahan to nuqsan hai
sang khate hain bar-dar darakht
dagh-e-tan khil rahe hain surat-e-gul
ham hain goya shagufa-dar darakht
Leave a Reply