zamin pe aane se sanson ke ruuTh jaane tak
ye ik safar hai musalsal qaza ke shane tak
jo ka.enat pe haq apna maan baiThe the
unhen bhi aana paḌa aḳhiri Thikane tak
zamin pe dil ki mohabbat javan hoti rahi
vafa ki dhuup pe badal jafa ke chhane tak
phir us ke ba.ad hua kya mujhe nahin ma.alum
main hosh men rahi but ko ḳhuda banane tak
suna hai aap inayat sabhi pe karte hain
kabhi to aa.en hamare gharib-ḳhane tak
nahin hai umr koi tai kisi bhi rishte ki
rahega saath koi sirf azmane tak
Leave a Reply