zamin nahin ye miri asman nahin mera
mata-e-khvab ba-juz kuchh yahan nahin mera
ye uunt aur kisi ke hain dasht mera hai
savar mere nahin sar-ban nahin mera
mujhe tumhare tayaqqun se khauf aata hai
ki is yaqin men shamil guman nahin mera
main ho gaya huun khud apne safar se begana
ki niind meri hai khvab-e-ravan nahin mera
to aab o khaak se bach kar kidhar ko jaata main
davam-e-vasl hai baaqi nishan nahin mera
phir ek din usi mitti ko laut jaunga
gurez tujh se rah-e-raftagan nahin mera
sada-e-shahr-e-guzishta abhi bulati hai
go ab aziiz koi bhi vahan nahin mera
Leave a Reply