Zamin Ki Kya Kahun Ki Sar Pe Aasman Bhi Nahin

zamīñ kī kyā kahūñ ki sar pe āsmān bhī nahīñ

hamārī qismat-e-vafā meñ imtihān bhī nahīñ

uḌe to kis tarah uḌe ye aaj tā.ir-e-nigāh

havā bhī gard gard hai paroñ meñ jaan bhī nahīñ

sunūñ maiñ us kī jhuuT baat aur hañs ke chup rahūñ

ki mere muñh meñ apne vāste zabān bhī nahīñ

qalam uThāo aaj maiñ lahū kā zā.iqa likhūñ

ki ab mire yaqīn meñ zarā gumān bhī nahīñ

yahī vo shaḳhs hai kabhī jo bastiyoñ kā zo.am thā

isī kī dastaras meñ ab koī makān bhī nahīñ

ye jism-o-jāñ kā qāfila thakan se chūr-chūr hai

magar rah-e-hayāt meñ to sā.ebān bhī nahīñ

ubuur kar chuke tamām dasht dasht rāste

magar hamāre azm meñ zarā takān bhī nahīñ

tumhārī baat baat se bhare paḌe haiñ roz-o-shab

sunā.eñ kyā kisī ko mo’atabar bayān bhī nahīñ

Leave a Comment