zamin ke chand-sitaron ko niind aati hai
hayat-baḳhsh baharon ko niind aati hai
abhi chaman ka muqaddar chamak nahin sakta
abhi chaman ki baharon ko niind aati hai
janaza ashkon ka palkon ke dosh par hai abhi
isi liye to nazaron ko niind aati hai
nizam-e-bazm-e-gulistan badal gaya shayad
chaman ki god men ḳharon ko niind aati hai
ab inqilab-e-zamana ki fikr kaun kare
tiri nigah ke maron ko niind aati hai
na Duub jaa.e kahin nabz-e-zindagi ‘maikash’
sahar ka vaqt hai taron ko niind aati hai
Leave a Reply