zamin ka aḳhiri manzar dikha.i dene laga
main dekhta hua patthar dikha.i dene laga
vo samne tha to kam kam dikha.i deta tha
chala gaya to barabar dikha.i dene laga
nishan-e-hijr bhi hai vasl ki nishaniyon men
kahan ka zaḳhm kahan par dikha.i dene laga
vo is tarah se mujhe dekhta hua guzra
main apne aap ko behtar dikha.i dene laga
tujhe ḳhabar hi nahin raat mo.ajiza jo hua
andhere ko, tujhe chhu kar, dikha.i dene laga
kuchh itne ghaur se dekha charagh jalta hua
ki main charagh ke andar dikha.i dene laga
pahunch gaya tiri ankhon ke us kinare tak
jahan se mujh ko samundar dikha.i dene laga
Leave a Reply