zamin jab bhi hui karbala hamare liye
to asman se utra khuda hamare liye
unhen ghurur ki rakhte hain taqat o kasrat
hamen ye naaz bahut hai khuda hamare liye
tumhare naam pe jis aag men jalae gae
vo aag phuul hai vo kimiya hamare liye
bas ek lau men usi lau ke gird ghumte hain
jala rakha hai jo us ne diya hamare liye
vo jis pe raat sitare liye utarti hai
vo ek shakhs dua hi dua hamare liye
vo nuur nuur damakta hua sa ik chehra
vo ainon men haya hi haya hamare liye
darud padhte hue us ki diid ko niklen
to subh phuul bichhae saba hamare liye
ajiib kaifiyat-e-jazb-o-hal rakhti hai
tumhare shahr ki ab-o-hava hamare liye
diye jalae hue saath saath rahti hai
tumhari yaad tumhari dua hamare liye
zamin hai na zaman niind hai na be-dari
vo chhanv chhanv sa ik silsila hamare liye
sukhan-varon men kahin ek ham bhi the lekin
sukhan ka aur hi tha zaiqa hamare liye
Leave a Reply