• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zalzale Sakht Aate Rahe Raat-Bhar

Zalzale Sakht Aate Rahe Raat-Bhar

abdul-mannan-tarzi

zalzale sakht aate rahe rat-bhar

ghar ko dhate girate rahe rat-bhar

aap haan aate jaate rahe rat-bhar

vaza-dari nibhate rahe rat-bhar

saara din naqsh un ka banate rahe

ban gaya to mitate rahe rat-bhar

koi bhi ham ko hatim nahin kah saka

garche moti lutate rahe rat-bhar

din men sarmaya-kari jo ki dard ki

ham khasare chukate rahe rat-bhar

sub.h-dam ju-e-khun kaise vo ban gae

ham jo aansu bahate rahe rat-bhar

dekhiye sadgi aap ki dastan

aap hi ko sunate rahe rat-bhar

teri yadon ka savan barasta raha

gulistan ham khilate rahe rat-bhar

qamat-e-yar par aarzu ki qaba

dil ke hathon sajate rahe rat-bhar

lamha lamha mite ham koi gham nahin

aap ko to banate rahe rat-bhar

ham bisat-e-tamanna bichhate rahe

aate aate vo aate rahe rat-bhar

teri yadon ke lamhe bhi bedard the

tujh ko mujh se churate rahe rat-bhar

asman par sitare larazte rahe

ashk ‘tarzi’ bahate rahe rat-bhar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chand Nikle Na Kahin Yar Purane Nikle

Wo Jis Ne Mujhko taDpaya Bahut Hai

Maine Kab Apni Wafaon Ka Sila Manga Tha

Aabaad Rahenge Virane Shadab Rahengi Zanjiren

allama-iqbal

Iltija-E-Musafir

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet