• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / zaKHm Dil Par Laga Nahin Hota

zaKHm Dil Par Laga Nahin Hota

zaḳhm dil par laga nahin hota

haal aisa hua nahin hota

zikr-e-janan hua nahin hota

zaḳhm-e-dil phir hara nahin hota

chain se zindagi basar hoti

rog dil ka laga nahin hota

kuchh na kuchh baat ho ga.i varna

dilruba bevafa nahin hota

uns iḳhlas aur vafadari

dil men sha.ir ke kya nahin hota

dasht-o-sahra men gar nahin phirte

paanv men aabla nahin hota

tum se shikva hai bevafa.i ka

sab se to ye gila nahin hota

zulm baḌhta hai roz zalim ka

ḳhatm ye silsila nahin hota

chaar ankhen nahin hui hotin

pyaar ka hadisa nahin hota

yaad aati na ham ko janan ki

jaam gham ka bhara nahin hota

adl ke beach koi haa.il hai

kyon koi faisla nahin hota

kahkashan chand titliyan jugnu

zikr-e-janan men kya nahin hota

rab ko be-shak pukarte hain ham

jab koi aasra nahin hota

haar jaata huun main ana se ‘zaki’

sar ye kyon ma.arka nahin hota

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dekhen Kitne Chahne Wale Niklenge

Gahraiyon Mein Zehn Ki Girdab Sa Raha

jhuT Sach Aap to Ilzam Diye Jate Hain

Sine Mein Sulagte Hue Lamhat Ka Jangal

Wo Suraten Jo baDi shoKH Hain Sajili Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet