zaḳhm bhar jaa.e to phir dard kahan rahta hai
ujḌi basti men koi fard kahan rahta hai
rang har sham-e-juda.i ka juda hota hai
sard mausam bhi sada sard kahan rahta hai
jaan dene ki jagah jaan na de paa.e to
apne paanv pe khaḌa mard kahan rahta hai
dushman-e-jan hai to ik roz use khulna hai
koi lashkar ho pas-e-gard kahan rahta hai
dil men aa.i ho agar surḳh gulabon ki bahar
rang chehron ka bhala zard kahan rahta hai
jism saara hai masiha.i ka talib ab to
ik jagah jam ke tira dard kahan rahta hai
dil pe duniya ki mohabbat ka ho qabza to ‘na.im’
aadmi apna bhi hamdard kahan rahta hai
Leave a Reply