• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zahr-E-Chashm-E-Saqi Mein Kuchh Ajib Masti Hai

Zahr-E-Chashm-E-Saqi Mein Kuchh Ajib Masti Hai

zahr-e-chashm-e-saqi men kuchh ajiib masti hai

gharq kufr o iman hain daur-e-mai-parasti hai

sham.a hai sar-e-mahfil kuchh kaha nahin jaata

shola-e-zaban le kar baat ko tarasti hai

zulf-e-yar ki zad men dair bhi hai kaaba bhi

ye ghaTa jab uThti hai duur tak barasti hai

aaj apni mahfil men hai bala ka sannaTa

dard hai na taskin hai hosh hai na masti hai

kaun ja ke samjha.e ḳhud-parast duniya ko

kya sanam-parasti hai kya ḳhuda-parasti hai

saḳht jan-leva hai sadgi mohabbat ki

zahr ki kasauTi par zindagi ko kasti hai

ham to rah ke dilli men DhunDte hain dilli ko

puchhiye ‘ravish’ kis se kya yahi vo basti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

asrarul-haq-majaz

Nigah-E-Lutf Mat Uth Khugar-E-Alam Rahne de

akhtar-hoshiyarpuri

Manzilon Ke Fasle diwar-O-dar Mein Rah Gae

poet

Us Ka KHayal Dil Mein ghaDi Do ghaDi Rahe

bahadur-shah-zafar

Hum Ye To Nahin Kahte Ki Gham Kah Nahin Sakte

Uski Diwar Pe Manqush Hai Wo Harf-E-Wafa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet