zaban hai be-khabar aur be-zaban dil
kahe kis tarah se raz-e-nihan dil
nahin duniya ko dildari ki aadat
sunae kis ko apni dastan dil
na puchho be-thikanon ka thikana
vahin ham bhi the sargardan jahan dil
kati hai zindagi sab ranj khate
kahe kya umar bhar ki dastan dil
hamen bhi thi kabhi milne ki lazzat
hamara bhi kabhi tha naujavan dil
na baaz aunga main ulfat se jab tak
uthae jaega jaur-e-butan dil
gham-e-ulfat gham-e-duniya gham-e-din
uthae baar kya kya na-tavan dil
samajh men khaak aae aql ki baat
gae hosh-o-khirad aaya jahan dil
unhen rahm aae to kya aae ‘parvin’
vo la-parva hai mera be-zaban dil
Leave a Reply