zaban-e-hal se ham shikva-e-bedad karte hain
dahan-e-zaḳhm-e-qatil dam-ba-dam fariyad karte hain
samajh kar kya asiran-e-qafas fariyad karte hain
tavajjoh bhi kahin fariyad par sayyad karte hain
azab-e-qabr se paate hain rahat ishq ke mujrim
pas-e-murdan jafa.en yaar ki jab yaad karte hain
na kah bahr-e-ḳhuda tu bandagan-e-ishq ko kafir
buton ki yaad men zahid ḳhuda ko yaad karte hain
zara sayyad chal kar dekh tu kya haal hai un ka
asiran-e-qafas fariyad par fariyad karte hain
butan-e-sang-dil ke haath se dil hi nahin nalan
barabar dair men naqus bhi fariyad karte hain
banate hain hazaron zaḳhm-e-ḳhandan ḳhanjar-e-gham se
dil-e-nashad ko ham is tarah pur-shad karte hain
mile lazzat jo iiza se to baaz aate hain iiza se
sitam-ijad hain tarz-e-sitam ijad karte hain
‘asar’ ko dekh kar kya ruuh ko sadma pahunchta hai
ḳhuda samjhe buton se kis qadar be-dad karte hain
Leave a Reply