raushni si dil ke zakhmon men utar aane ko hai
ai shab-e-gham phir tira chehra nazar aane ko hai
asman par shaam ka taara nazar aane ko hai
khvahishon ka chadhta suraj jab utar aane ko hai
kya masafat hai ki sahra khatm hota hi nahin
tum to kahte the ki is raste men ghar aane ko hai
phir hamare zehn-o-dil par buz-dili taari hui
dekh lena phir koi patthar idhar aane ko hai
jhidkiyan bete ki sun kar ashk maan ne pi liye
dard lekin budhe chehre par ubhar aane ko hai
lafz ki tahzib ka bhi paas lazim hai janab
guftugu meayar se niche utar aane ko hai
kaat kar pedon ko insan jal raha hai dhuup men
aur ye ilzam bhi mausam ke sar aane ko hai
dekhiye kya t v channel padhiye kya akhbar men
in dinon bhi kya koi achchhi khabar aane ko hai
Leave a Reply