• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yun To In Aankhon Se Humne O But Kahne Ko duniya dekhi

Yun To In Aankhon Se Humne O But Kahne Ko duniya dekhi

poet

yuun to in ankhon se ham ne o but kahne ko duniya dekhi

lekin saari khudai bhar teri surat-e-yakta dekhi

khel gae kyuun jaan pe ‘anjum’ tum ne abhi kya duniya dekhi

marne lage khuban-e-jahan par teri meri dekha-dekhi

dard-e-jigar kam tha ki nahin tha ye to bata dam tha ki nahin tha

kah to mariz men kuchh bhi dekha nabz jo tu ne masiha dekhi

us ko bhala kyunkar chain aaya dil ko kya kah kar samjhaya

surat teri jis ne sitam-gar thaam ke apna kaleja dekhi

vasl ki shab barham hi raha vo ta-ba-sahar uljha hi kiya vo

bal na gaya abru se us ki zulf bhi ham ne suljha dekhi

vah-re-va ai nala-e-sozan dekh li teri thandi garmi

dil na pasija us kafir ka aag bhi tu ne bhadka dekhi

us ke dil se gai na kudurat dil ki dil hi men rah gai hasrat

ham ne jhadi ashkon ki barson in ankhon se barsa dekhi

ek zara se hashr pe vaaiz us ko darata allah allah

jis ne buton ki gali men barson roz-e-qayamat barpa dekhi

jaisi ziist hamari guzri dushman ki bhi yuun na basar ho

‘anjum’ hazrat-e-dil ki badaulat ham ne musibat kya kya dekhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afroz-rizvi

Wo Mahakta Hai Jo Khushbu Ke Hawalon Ki Tarah

Kabhi Qarib Kabhi Dur Se Guzarte Hue

Nazar Aate Nahin Hain Bahr Mein Hum

Kitab-E-Ishq Ke Jo Moatabar Risale Hain

poet

Agarche Ishq Mein Aafat Hai Aur Bala Bhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet