khaḌe hain der se ahbab dekhne ke liye
mira safina tah-e-ab dekhne ke liye
khuli jo aankh to ham Dubte nazar aa.e
ga.e the duur se girdab dekhne ke liye
abas pareshan hain ta.abir ki tag-o-dau men
mili hai niind hamen ḳhvab dekhne ke liye
taras rahi hai mire dasht ki faza kab se
kisi daraḳht ko shadab dekhne ke liye
uḌaan bharne lage hain tuyur-o-tayyare
qarib-o-dur se sailab dekhne ke liye
suna hai main ne hava.en bhi be-qarar hain ab
mire diye ko zafar-yab dekhne ke liye
nazar jhuka.e khaḌi hain aqidaten ‘alam’
shikast-e-gumbad-o-mehrab dekhne ke liye
Leave a Reply