har ik dagh-e-dil sham.a saan dekhta huun
tiri anjuman zau-fishan dekhta huun
ta.ayyun se azad hain mere sajde
jabin par tira astan dekhta huun
fareb-e-tasavvur hai qaid-e-qafas hai
har ik shaḳh par ashiyan dekhta huun
main rah-e-talab ka huun pasmanda rah-rav
ghubar-e-rah-e-karvan dekhta huun
ba-andaza-e-zauq-e-iza-pasandi
use aaj main mehrban dekhta huun
pila kar mujhe mahram-e-hosh rakkha
ye e.ajaz-e-pir-e-mughan dekhta huun
miri zindagi mahram-e-gham hai ‘tabish’
nafas ko ba-rang-e-fughan dekhta huun
Leave a Reply