yuun qatl-e-am nau-e-bashar kar diya gaya
rasiḳh tabi.aton hi men Dar kar diya gaya
tariḳh surḳh-ru hai inhin hadsat se
jin hadson se qat-e-nazar kar diya gaya
is Dar se jaag uThe na kahin raste ki chaap
kuchh qafilon ko shahr-badar kar diya gaya
sar dosh par raha na raha lekin aḳhirash
ye ma.arka-e-saḳht bhi sar kar diya gaya
maqsud to tha husn-e-tulu-o-ghurub ka
parda miyan-e-sham-o-sahar kar diya gaya
alfaz dil ki aag se mahrum ho ga.e
jab sha.iri ko sirf hunar kar diya gaya
kuchh pattharon men qaid rahe umr bhar ‘zamir’
thi qabr asl men jise ghar kar diya gaya
Leave a Reply