yuun main sidha gaya vahshat men bayaban ki taraf
haath jis tarah se aata hai gareban ki taraf
baiThe baiThe dil-e-gham-ghin ko ye kya lahr aa.i
uTh ke tufan chala dida-e-giryan ki taraf
dekhna lala-e-ḳhud-rav ka lahakna saaqi
koh se dauḌ ga.i aag bayaban ki taraf
ro diya dekh ke aksar main bahar-e-shabnam
hans diya dekh ke aksar gul-e-ḳhandan ki taraf
baat chhupti nahin paḌti hain nigahen sab ki
us ke daman ki taraf mere gareban ki taraf
saikḌon dagh-e-gunah dho ga.e rahmat se tiri
kya ghaTa jhuum ke aa.i thi gulistan ki taraf
chashm-e-a.ina pareshan-nazari siikh ga.i
dekhta tha ye bahut zulf-e-pareshan ki taraf
sar jhuka.e hue hai ‘nazm’ basan-e-ḳhama
samt sajde ki hai teri ḳhat-e-farman ki taraf
Leave a Reply