yuun ḳhaak ki manind na rahon pe bikhar ja
kirnon ki tarah jhiil ke siine men utar ja
mat bhuul ki ab bhi hai tiri ghaat men sayyad
sunta hai koi paanv ki avaz Thahar ja
mat dekh tamanna ki taraf aankh uTha kar
andhon ki tarah nuur ke dariya se guzar ja
manzil ki talab apni taraf khinch rahi hai
aur raat musafir se ye kahti hai ki ghar ja
itna to samajh kya hai tiri raah men haa.il
aahu ki tarah apne hi saa.e se na Dar ja
shayad ki koi barhana-pa ho tire pichhe
jaate hue is raah ko kanTon se na bhar ja
patthar nahin ankhen to ye aansu hain baḌi chiiz
bhige hue phulon ki tarah aur nikhar ja
ya dasht men us bazm ki raunaq ko na kar yaad
ya shahr ki divar se sar phoḌ ke mar ja
ik umr se roya huun na taḌpa huun men ‘shahzad’
ehsas ka badal kabhi barsa hai na garja
Leave a Reply