
Sayeda Fatima Rizvi
ye zard patte ye sard mausam
kohar men lipTi udaas shamen
hamare kab iḳhtiyar men hai
tumhare hathon ko ab jo thamen
chalo tumhen yaad karke ro len
ham apna daman zara bhigo len
tumhari ḳhvahish men ji rahe hain
so zahr-e-tanha.i pi rahe hain

Leave a Reply