dekh kar aap ko dua karna
phir namazen sabhi ada karna
ishq dekho kahan pe le aaya
sabr karna ki iltija karna
chhoḌ jaate ho ye to batla do
aap ke ba.ad ham ne kya karna
vo sarapa ghazal ka paikar hai
us ke chehre se ibtida karna
dil ne chaha ki us ko chhu luun main
kitna mushkil hai hausla karna
ishq to ik muamma hai ai ‘samir’
ibtida karna intiha karna
Leave a Reply