gale lag kar mire vo jaane hansta tha ki rota tha
na khul kar dhuup phaili thi na badal khul ke barsa tha
kabhi dil bhi nahin ik zaḳhm ankhon ki jagah aansu
kabhi main bhi na tha bas Diary men sher likkha tha
vo har pal saath hai mere kahan tak us ko main dekhun
ga.e vo din ki us ke naam par bhi dil dhaḌakta tha
yahan har kashti-e-jan par ka.i manjhi muqarrar the
udhar sazish thi paani ki idhar qaziya hava ka tha
chhupa kar le gaya apne dukhon ko saari duniya se
laga tha yuun to ham tum sa vo jadugar bala ka tha
Leave a Reply