hadis-e-soz-o-saz-e-sham-o-parvana nahin kahte
ham apna hal-e-dil kahte hain afsana nahin kahte
vahi mai-nosh raz-e-bada-e-ulfat samajhte hain
jo masti ko rahin-e-jam-o-paimana nahin kahte
sa.adat soz-e-dil ki bhi baḌi mushkil se milti hai
sar-e-mahfil har ik sho.ale ko parvana nahin kahte
hamara TuuTa saghar hi hamare kaam aa.ega
kisi ke zarf ko ham apna paimana nahin kahte
ye kaisa inqalab aaya jahan-e-be-niyazi men
ki vo bhi apne divane ko divana nahin kahte
‘figar’ ash.ar men apne hain raqsan shoḳhiyan gham ki
kali ki dastan phulon ka afsana nahin kahte
Leave a Reply