saare aalam se mire gham ka hai afsana juda
dil ke matam ke liye chahiye gham-khana juda
garche vahshat ka nahin hai koi afsana juda
par nazar aata hai sab se tira divana juda
qurbat-e-husn ghazab hai ki sar-e-mahfil-e-naz
us ke lab se nahin hota lab-e-paimana juda
ai khuda kashmakash-e-yas-o-tamanna kab talak
un ke rahne ke liye dil men ho har khana juda
aaj tang aa ke ye naseh ko diya main ne javab
mazhab-e-shaikh juda mashrab-e-rindana juda
khushk ho jaae jo baaqi hai rag-e-jan men lahu
dil se hona na abhi ai gham-e-janana na juda
be-khudi men bhi raqabat ka magar hai ehsas
ek sahra men hai divane se divana juda
sabr ki mujh ko judai men hai talqin fuzul
ye to jab ho ki rahe shama se parvana juda
dasht jagir hai majnun ki to kya fikr ‘nazar’
khod kar ghar ko bana lijiye virana juda
Leave a Reply