• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye To Malum Ki Phir Aaiyega

Ye To Malum Ki Phir Aaiyega

poet

ye to maalum ki phir aiyega

baithiye aaj kahan jaiyega

marqad-e-kushta pe jab aiyega

dil men kuchh soch ke pachhtaiyega

ham to samjhe the ki jald aiyega

khair ab puchh ke ghar jaiyega

ghair ko bose dahan ke kaise

kuchh mira munh to na khulvaiyega

mere kahne men nahin hai dil-e-zar

aap hi kuchh use samjhaiyega

ab to chuse lab-e-shirin ham ne

lo hamen ghol ke pi jaiyega

daulat-e-vasl hai qimat dil ki

aage kuchh aap bhi farmaiyega

jama khatir rahiye ai ahl-e-qubur

ham bhi aate hain na ghabraiyega

vasf likhte hain lab-e-shirin ke

kuchh mithai hamen khilvaiyega

nazaa men paas mire kyuun baithe

uthiye uthiye nahin ghabraiyega

sadma-e-hijr men taklif karen

malak-ul-maut se farmaiyega

aap par marne se hasil kya hai

fatiha bhi to na divaiyega

shaikh-ji but ki burai kiije

apne allah se bharpaiyega

kaabe men sakht-kalami sun li

but-kade men na kabhi aiyega

bose lillah ‘sakhi’ mangta hai

ek dijega to das paiyega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Darwaze Ke Andar Ek Darwaza Aur

Kaun Kahta Mujhe Shaista-E-Tahzib-E-Junun

Ek Talluq Sa Kisi Nam Se Jab Hota Hai

poet

KHirad Ki Zad Mein Agar Gulsitan Bhi Aata Hai

Kya Manzil-E-Gham simaT Gai Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet