ye reg-e-ravan yad-dahani to nahin kya
sahra kisi dariya ki nishani to nahin kya
dekho mira kirdar kahin par bhi nahin hai
dekho ye koi aur kahani to nahin kya
raushan hai naya aks sar-e-chashm-e-tamasha
biite hue manzar ki ravani to nahin kya
is ghar ke dar-o-bam bhi apne nahin lagte
qismat men nai naql-e-makani to nahin kya
khvabon pe padi os ka matlab to yahi hai
ashkon ke jo shoale vo the paani to nahin kya
main misra-e-ula huun to aine men sahab
jo aks hai vo misra-e-sani to nahin kya
puchhunga kisi roz charaghon se main ‘ahmad’
ye lau koi paigham zabani to nahin kya
Leave a Reply