ye log DhunD rahe hain yahan vahan mujh ko
talash karte nahin apne darmiyan mujh ko
main agle pichhle zamanon se ho ke aaya huun
kahin nazar nahin aa.e hain raftagan mujh ko
vo jis men lauT ke aati thi ek shahzadi
abhi talak nahin bhuli vo dastan mujh ko
ye kis ne kar diya saiqal zamin ka a.ina
tah-e-zamin nazar aata hai asman mujh ko
ajiib shaḳhs hai jis ne kahin nahin jaana
ye kah ke dekhta jaata hai karvan mujh ko
mujhe ḳhabar hai kahani ka ant aa gaya hai
mujhe ḳhabar hai ki hona hai ra.egan mujh ko
Leave a Reply