ye kya tauhin-e-mai-ḳhana nahin hai
surahi hai to paimana nahin hai
dar-e-daulat ke chakkar aap kaTen
miri fitrat ghulamana nahin hai
ta.ajjub hai ki ahl-e-shahr ne bhi
abhi tak mujh ko pahchana nahin hai
chhalak jaati hai un ka naam sun kar
agarche aankh paimana nahin hai
main tishna-lab bhi uTh sakta huun saaqi
magar ye shan-e-mai-ḳhana nahin hai
vo dil bhi dekhne ki chiiz hoga
ujaḌ kar bhi jo virana nahin hai
mira maslak faqirana hai lekin
miri halat faqirana nahin hai
koi kyuun qadr-e-ahl-e-dil karega
koi mujh sa to divana nahin hai
bahak jaate hain vo ik ghunT pi kar
ye koi vaz-e-rindana nahin hai
janab-e-‘shauq’ be-had muztarib hain
magar nazdik mai-ḳhana nahin hai
Leave a Reply