ye kya lutf-e-shor-e-fughan rah gaya
zamin rah gai asman rah gaya
abhi nama-bar ko ravana kiya
abhi kah raha huun kahan rah gaya
tire lutf ne ki yahan tak kami
jo pahle yaqin tha guman rah gaya
mile khaak men yuun ki mashhur hai
mite yuun ki mitna nishan rah gaya
vahi gardishen hain vahi chaal hai
sitam kaun sa asman rah gaya
rahi ashnai faqat naam ki
vo naam ashna-e-zaban rah gaya
main vamanda aur kah raha hai jaras
raha jo pas-e-karvan rah gaya
mira naala barq-e-jahan-soz hai
agar yuun hi atish-fishan rah gaya
bahut duur pahunchen nigahen vale
vo parde men ab bhi nihan rah gaya
ye kahil huun ‘salik’ gham-e-hijr se
vahin ka raha main jahan rah gaya
Leave a Reply