• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kaisi Aag Abhi Ai Shama Tere Dil Mein Baqi Hai

Ye Kaisi Aag Abhi Ai Shama Tere Dil Mein Baqi Hai

ye kaisi aag abhi ai sham.a tere dil men baaqi hai

koi parvana jal marne ko kya mahfil men baaqi hai

hazaron uTh ga.e duniya se apni jaan de de kar

magar ik bhiiḌ phir bhi kucha-e-qatil men baaqi hai

hue vo mutma.in kyuun sirf mere dam nikalne par

abhi to ek duniya-e-tamanna dil men baaqi hai

hua tha gharq bahr-e-ishq is andaz se koi

ki naqsha Dubne ka dida-e-sahil men baaqi hai

qaza se koi ye kah de ki mushtaq-e-shahadat huun

abhi ik marne vaala kucha-e-qatil men baaqi hai

kahan fursat hujum-e-ranj-o-gham se ham jo ye janchen

ki nikli kya tamanna kya tamanna dil men baaqi hai

abhi se apna dil thame hue kyuun log baiThe hain

abhi to hashr uThne ko tiri mahfil men baaqi hai

vahan the jam.a jitne marne vaale mar ga.e vo sab

qaza le-de ke bas ab kucha-e-qatil men baaqi hai

abhi se tu ne qatil myaan men talvar kyuun rakh li

abhi to jaan thoḌi si tan-e-‘bismil’ men baaqi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

meer-hasan

Bas Ki Chun Badr-Zamana Ye Ghatata Hai Mujhe

Ye Kaisa Taghaful Hai Bata Kyon Nahin Dete

Badan Ke Rup Ka Ejaz Ang Ang Thi Wo

Kuchh to Wufur-E-Shauq Mein Bais-E-Imtiyaz Ho

Aap Aur Hum Salam Bhi Na Karen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet