• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Ki Sari Kaenat Uski Nigahbani Mein Hai

Jab Ki Sari Kaenat Uski Nigahbani Mein Hai

jab ki saari ka.enat us ki nigahbani men hai

dil azal hi se na jaane kaisi hairani men hai

meri fitrat bhi to shamil meri nadani men hai

laghzish-e-adam jo pinhan ḳhun-e-insani men hai

jaane kis hangam men Daali ga.i buniyad-e-dil

dil jo ab tak mubtala ranj-o-pareshani men hai

duur kar deta hai bas ik pal men sab shikve-gile

ye karishma bhi kisi ki aankh ke paani men hai

kya samajh pa.enge ye ahl-e-ḳhirad is raaz ko

lutf dana.i men kab vo hai jo nadani men hai

dil men aata hai hisar-e-har-talab ko toḌ duun

aisi ḳhvahish bhi tamannaon ki tughyani men hai

ho ga.i aadam se ye kaisi ḳhata jis ke evaz

nasl-e-adam aaj tak aisi pashemani men hai

koi surat jab na ban paa.i to rona aa gaya

kuchh to taskin-e-gham-e-dil ashk-afshani men hai

gar mile ḳhud men samo len saare insanon ka dard

is qadar vus.at hamari tang-damani men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phir Mere Sar Pe kaDi Dhup Ki Bauchhaar Giri

Zabt-E-Girya Mein Bhi Girya to Kiya Hai Maine

jigar-moradabadi

Khusha Bedad Khun-E-Hasrat-E-Bedad Hota Hai

poet

Shikwa-E-Jaur-O-Jafa Ho Ye Zaruri to Nahin

Ajab KHajalat-E-Jaan Hai Nazar Tak Aai Hui

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet