ye kaise janta gar shahr men aaya nahin hota
yahan divar hoti hai magar saaya nahin hota
risalat ki bina gar jhuuT par rakkhi ga.i hoti
rasulon ko bhi to duniya ne jhuThlaya nahin hota
ye ḳhvab-e-sub.h kya karte tamanna ki hina-bandi
agar tariḳh ne apne ko dohraya nahin hota
jo amrit chhoḌ kar ham log bhi vish-pan kar lete
to apne ḳhuun men ye saanp lahraya nahin hota
main apne qatl ka us par kabhi shak bhi nahin karta
agar vo muskurate vaqt sharmaya nahin hota
agar kuchh kaam aati istilah-e-saghar-o-mina
to meri tishnagi ne mujh ko bahkaya nahin hota
janab-e-‘mir’ rote hain to ‘qaisar’ shauq se ro.en
hamare ahd men ab koi ham-saya nahin hota
Leave a Reply