• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ek Phul Sa Bachcha

Ek Phul Sa Bachcha

zehra-nigaah

ek din thaka-manda

ek shaam be-maani

ek raat hairan si

mere saath ye tinon

mere ghar men rahte hain

ek dusre se kam

apne aap se ham log

baat karte rahte hain

uljhe suljhe lamhon ki

vaqt chadaren bun kar

ham ko dhanp deta hai

dekhta nahin mud kar

jald jald katta hai

ham jo dekhna chahen

vo nazar churata hai

ek phuul sa bachcha

be-khabar nidar sachcha

mere ghar ke kamron men

aa ke ghul machata hai

munjamid khamoshi ko

todti hansi us ki

is tarah bikharti hai

jaise thahre paani men

koi kankari phenke

aks jhuum jhuum utthe

mauj mauj lahrae

ek din thaka-manda

jaag jaag jaata hai

ek shaam be-maani

harf harf sajti hai

ek raat hairan si

aankh muund leti hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mahw-E-Kamal-E-Arzu Mujhko Bana Ke Bhul Ja

Adawaton Ka Ye Usko Sila Diya Humne

Jab Juda peDon Se kaT Kar Dali Dali Ho Gai

munawwar-rana

Thakan Ko Odh Ke Bistar Mein Ja Ke Let Gae

Shafaq Ka Nur Bhi Rah Rang-E-Aftab Mein Aa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet