ahd-e-kam-koshi men ye bhi hausla main ne kiya
shahr ke sab band darvazon ko va main ne kiya
main ne saf-ara kiya ik majma-e-shorida-sar
kaj-kulah-e-shahr ko be-majra main ne kiya
de diye mahrumiyon ke haath men jam-o-subu
mai-kade men ek hangama bapa main ne kiya
main adalat men uTha laaya huun ḳhud apni salib
mere munsif dekh ye bhi faisla main ne kiya
main ne majnun ko diya dars-e-suluk-e-ashiqi
chak-daman ko mohabbat ki jaza main ne kiya
main ne aivanon men phenke sang-e-jur.at-afrin
nashsha-e-taqat-asar ko be-maza main ne kiya
is se baḌh kar aur kya hoga subub-e-bandagi
mujh se ’tishna’ us ne jo kuchh bhi kaha main ne kiya
Leave a Reply