• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Jo Rangin Tabassum Ki Ada Hai Mujh Mein

Ye Jo Rangin Tabassum Ki Ada Hai Mujh Mein

poet

ye jo rangin tabassum ki ada hai mujh men

mujh ko lagta hai koi mere siva hai mujh men

khud bhi hairan huun azal se ki ye kya hai mujh men

kaun shah-rag se miri bol raha hai mujh men

umar bhar jis ko tire gham ki amanat samjha

ab vahi tar-e-nafas tuut gaya hai mujh men

ek khushbu si ubharti hai nafas se mere

ho na ho aaj koi aan basa hai mujh men

mere qadmon pe zamane ki jabin jhuk jaae

devtaon ki tarah ek ana hai mujh men

tum to kun kah ke nigahon se chhupe ho lekin

har ghadi ek naya hashr bapa hai mujh men

kaun tha jo mire ehsas ko raushan karta

umr bhar sirf mira dil hi jala hai mujh men

dil kabhi zulmat-e-farda se hirasan na hua

ek khurshid naya roz uga hai mujh men

talkh-kami se to kuchh aur nikharti hai ‘hayat’

kis liye zahr koi ghol raha hai mujh men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ab Chaman-Zar Hi Apna Hai Na Sahra Apna

poet

Khuda-Parast Hue Na Hum But-Parast Hue

Hiqarat Se Na Dekho Dil Ko Jam-E-Jam Bhi Kahte Hain

Farq Jab Tak Andheron Ujalon Mein Tha

asrarul-haq-majaz

Ba-Jawab-E-Pand-Nama

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet