• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Jo Rah Rah Ke Sar-E-Dasht Hawa Chalti Hai

Ye Jo Rah Rah Ke Sar-E-Dasht Hawa Chalti Hai

ye jo rah rah ke sar-e-dasht hava chalti hai

kitni achchhi hai magar kitna bura chalti hai

ek aaseb ta.aqub men laga rahta hai

main jo rukta huun to phir us ki sada chalti hai

haa.e vo saans ki rukti hai to kya rukti hai

haa.e vo aankh ki chalti hai to kya chalti hai

pesh-ḳhema hai kisi aur na.i vahshat ka

ye jo itra ke abhi bad-e-saba chalti hai

tiir chalte hain lagatar savad-e-jan men

aur talvar koi ek juda chalti hai

biich dariya ke ajab jashn bapa hai yaaro

saath kashti ke koi mauj-e-bala chalti hai

aaj kuchh aur hi manzar hai mire charon taraf

ghair-mahsus tariqe se hava chalti hai

main ba-zahir to huun asuda pa mere andar

dhime dhime se kahin ah-o-buka chalti hai

yuun to bebak bana phirta hai vo yaron men

us ki a.ankhon men ajab sharm-o-haya chalti hai

mere maula jo rahe sirf kaha tera rahe

mere honTon pe yahi ek dua chalti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kam Kabhi Rah Ke Aazar to Hote Honge

etibar-sajid

Muhtaj Ham-Safar Ki Masafat Na Thi Meri

Jaante Hi Nahin KHushi Kya Hai

abroo-shah-mubarak

Aashiq Bipat Ke Mare Rote Hue Jidhar Jaan

Mahrumi Ke Dukh Aur Tanhai Ke Ranj uThae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet