ye ji men aata hai jal jal ke har zaman naseh
ki aag le ke jala duun tiri zaban naseh
na man.a ishq-e-majazi se kar mujhe nadan
yahi hai bam-e-haqiqat ki nardban naseh
main tark-e-ishq-e-kamar yak-ba-yak karun kyunkar
samajh ke mujh ko nasihat karo miyan naseh
zalil hoga tu ik roz pand-e-beja se
tujhe ḳharab karegi tiri zaban naseh
ḳhuda ke vaste bak bak ke mera maghz na kha
na tark hogi kabhi ulfat-e-butan naseh
baja-e-pand dilata hai husn par raghbat
hazar shukr ki paaya mizaj-dan naseh
qubul ita.at-e-pir-e-mughan badal karna
hamari tarah se hota agar javan naseh
nasihat un ki kahani ki tarah sunta huun
main janta huun ki hai ek qissa-ḳhvan naseh
jahan hasin nazar aaya koi pise vahin ham
hamare saath phirega kahan kahan naseh
za.iif ho ke samajhta nahin ta.ajjub hai
karun shabab men tark ulfat-e-butan naseh
karam kiya hai gham-e-ishq ne mire dil men
main kis tarah na karun pas-e-mehman naseh
ham aap band kiya karte hain hazaron ko
hamare samne kholega kya zaban naseh
buton ka kalima paḌhe tu abhi hamari tarah
kamal-e-ishq agar puḳhta ho ayaan naseh
main vo huun ashiq-e-divana gar mujhe ki pand
ba-rang-e-jaib uḌa dunga dhajjiyan naseh
kahin hamari tarah ye bhi phans gaya shayad
kuchh aj-kal hai bahut ham pe mehrban naseh
‘qalaq’ na harf-e-nasihat zaban pe laa.e vo phir
jo sun le meri mohabbat ki dastan naseh
Leave a Reply