ye jabr-e-zindagi na uTha.en to kya karen
taḌpen magar taḌapne na paa.en to kya karen
ab apni mahfilon se bhi aati hai bu-e-ghair
jaa.en to kya karen jo na jaa.en to kya karen
qismat men apni sub.h ki ab raushni kahan
ashkon ke bhi diye na jala.en to kya karen
kitni hi raten jaag ke ankhon men kaaT diin
bedariyan bhi ḳhvab dikha.en to kya karen
vo rang-o-bu ke qafile raste hon jin ke band
divar-e-bagh phand na paa.en to kya karen
kanTon ke din bhi phir ga.e raas aa ga.i bahar
chhini ga.iin gulon ki qaba.en to kya karen
girta hai har palak ke jhapakne pe ik hijab
ankhon ko intizar sikha.en to kya karen
har raushni ‘siraj’ charagh-e-haram nahin
is sat.h par nigah ko laa.en to kya karen
Leave a Reply